Motivational story

Success story

Engineer ki job chodkar banai thi company , aaj 60 crore ka turn over



yeh kahani biotechnology mein BE karne wale yuth , Paras chopda ki hai . paras ne engineer ki success job chodkar apni company suru ki thi , ve aaj 60 crore rupey se jyada ka turn over ke saath success karobariyon ki list mein hai . paras ne jo hasil kiya veh bilkul aasan nahi tha .

Khasiyat :

ek aisa startup (Wingify) jo website aur ecommerse stores ko jyada munafa kamane mien saksam banane ke liye kifayati aur aasan software tools ka nirmaan karta hai .apne phele hi utpad visual website optimizer ke jariye yeh company duniyabhar ke seers analitical software providers mein saamil ho chuki hai .

Punjab mein janme Paras chopda padai mein hamesha sabse aage rehene wale baccho mein se the . computer se paras ka parichye bahut choti umar mein ho gaya tha . paras ke anusaar uske pita apne kaam ke liye computer ka istemaal karte the . unhe dekhkar veh bhi iske prati akarsit hua aur karib 13 saal ki umar mein , jab doosre bacche computer par game khela karte hai, paras programing karne laga . school pura hote-hote veh programing mein mahir ho chuka tha . ab usne Delhi college of Engineer mein dakhila liya aur subject ke roop mein biotechnology ko chuna .

Paras ke es faisle se parents khush nahi the kyunki ve chahate the ki veh computer pade lekin usne biotechnology mein hi graduation ka faisla liya . es dauran usne computer mein apni visesyagyata ko chamkaane ka koi mauka nahi choda . veh iska istemaal apni padai aur models ready karne ke liye kiya karta tha . es kaam ne paras mein data mining aur analytics ke prati dilchaspi paida kar di . Paras ke anusar school ke dino mein use 'How to start a startup' par ek lekh padne ka mauka mila jisne use startup ke liye kaafi prarit kiya tha . apne isi akarsan ke chalte paras ne college ki padai ke saath-saath teen-char alag -alag startups mein bhi apna haath aajmaya , lekin ek business model ke aabhav mein ye business mein tabdeel nahi ho paye .


Job ke dauran talasha idea



2008 mein paras ne gold medal ke saath apni graduation poori ki aur enspiring minds mein bator R & D mein engineer ki naukri suru ki . lekin startup ki khuvaish ab bhi uske bhitar thi . job mein karib dedh saal gujar jaane ke baad paras ne apni ruchi ke khetro ki ek list taiyaar karna suru kiya . lagbhag ek maah tak es par kaam karne ke baad marketing optimization ki theem samne aai . analytics , technology aur marketing ke mishran wale es project mein paras ki vishesh ruchi thi . yahi se wingify ka idea mila aur 23 saal ke es yuva ne apni comapany ki neev rakhi .


Marketing ka nahi tha tajurba



Paras ne ek aisa field chuna tha jiska use bilkul anubhv nahi tha . marketing ke expiriance ke bina marketing optimization mein utarna kaafi jokhim bhara faisla tha . apne sangharsh ke daur mein paras ko apne college ke un dino se prerna mili jab biotechnology ki jyada jankari na hone ke baavjud usne yeh subject chuna aur na sirf apne dipartment mein top kiya balki kuch paper bhi publish kiye . isse paras mein es field mein kadam rakhne ka atmvishvash paida hua aur usne job ke saath hi es par kaam karna suru kiya . paras ka maqsad google analytics ke liye ek platform taiyaar karne ka tha jiska istemaal user apni website ko bhetar banane aur uske optimization ke liye kar sake . karib 8 mahine tak es par kaam karne ke baad paras kai feature wala ek product taiyaar karne mein kaamyaab ho gaye aur 2010 mein visual website optimizer naam ke es software ko launch kiya .


Job chodkar startup par diya dhyan



salery ke kuch hisse se suru hui paras ki company wingify chand mahino mein hi accha business karne lagi . ise dekhte hue paras ne job chodkar apne poora dhyan isi par focus karne ka faisla kiya . paras ke es faisle ka asar unki company ki tarakki par bhi hua aur january, 2011 tak company ka turn over 18,83,548 rupey (30,000 doller) pahunch gaya, jo aaj karib 62,78,49,500 rupey (10 milion doller) ke aakde ko paar kar chuka hai . vartmaan mein 40 se jyada karamchari ke saath wingify cleartrip , microsoft , journal electric , groupon , airbnb , volt disney aur hotels.com jaise dunia bhar ke karib 7,500 coustmer ko apni sevaye pradan kar dunia bhar ke seers ke analytical software providers ko takkar de rahi hai .

टिप्पणियाँ