Success Stories

Success story

Welcome success stores -

written by MK


Apni kathin mehenat se software ke master bane

Ek ladki ki safalta ki mishal : Cashkaro

Multi milion company banane ki kahani

Microsoft chodh khadi ki multi-bilion company



Apni kathin mehenat se software ke master bane





Dosto kahete hai ham apni kathin mehenat se dunia ko apne kadmo mein jhuka sakte hai ye sabit karke dikhaya hai Amit kumar das ne .
Amit kumar das ka janam bihar ke arariya jile ke farbisganj kasbe mein rahene wale ek kisaan parivar mein hua .unke parivaar mein keti ki parampara suru se hi chali aa rahi thi lekin amit es parampara ko aage nahi badana chate the . ve ek engineer banne ka sapna dekhte the , lekin parivaar ki aarthik halat esi nahi thi ki vo engineering ka kharch utha sake .amit ne sarkari school mein padai poori ki aur uske baad patna ke A . N college se science stream se 12th class ki padai puri ki .




Sangharshon bhara bachpan



12th tak aate-aate amit ke samne kaafi aarthik muskile thi. ese mein unke dimag mein machli palan se lekar fasal ka utpadan dugna karne ke liye tractor kharidne jaise khyal aane lage . lekin iske liye kam se kam 25000 rupey ki jaroorat thi , to unhe apna sapna dhundlata huaa sa najar aane laga .esthitiya unki samajh se pare thi , par aage bhadne ka sapna dil mein pakka ho chuka tha .parivaar ki maali halat sudharne ka jab koi vikalp samne nahi aaya , to amit ne khud ko us isthiti se door kiya . sirf 250 rupey lekar ve delhi chale gaye . Delhi pahuch kar amit ko jaldi ehasash ho gaya ki vo engineering ki degree ka kharch nahi utah paenge . ese mein veh part time tution lene lage . saath hi unhone delhi university se B.A ki padai suru ki .




English bani raaste ka kaanta



Padai ke doran amit ko mehesoosh hua ki unhe computer shikna chaiye . esi maksad ke saath ve delhi ke ek private computer training center pahunche . center ki recepsnist ne jab Amit se english mein sawal kiye , to veh javab mein kuch nahi bol paye , kyunki english mein bhi vo kamjor the . resepcenist ne unhe pravesh dene se mana kar diya . udaash man se lot rahe amit ke chere par niraasha dekh kar bus mein baithe ek yatri ne unki udashi ka kaaran pucha . wajha ka khulasha hua to usne Amit ko english speaking course karne ka sujhav diya . Amit ko yeh sujhav accha laga aur bina der kiye teen mahine ka course join kar liya .
course pura hone ke baad Amit mein ek naya atmvishvash jaag gaya tha . usi atmvishvash ke saath Amit phir se computer training institute pahunche aur pravesh pane mein safal hue . ab Amit ko nayi disha mil gayi thi . 6 mahine ke computer course mein unhone top kiya . Amit ki es uplabdhi ko dekhte hue institute ne unhe teen saal ka programe offer kiya . programe pura hone par institute ne unhe faculty ke tor par niyukt kar liya . wahan pheli salary ke roop mein unhe 500 rupey mile .

Bachat se suru kiya Isot



kuch saal kaam karne ke paschat Amit ko institute se ek project ke liye england jaane ka offer mila , lekin Amit ne jaane se inkaar kar diya . vajha thi man mein apna karobaar karne ki ikhcha . us samay Amit ki uamr 21 saal ki thi . Amit ne job chodhne ka faisla liya . kuch rupyon ki bachat se delhi mein ek choti si jaghe kiraye par li aur apni software company ISOFT suru ki . 2001 mein suruat se Amit kaafi utsahit the , lekin mushkile khatm nahi hui thi . kuch mahine tak unhe ek bhi project nahi mila tha . gujare ke liye ve jamia miliya islamia university mein raat mein 8 baje tak padte aur phir raat bhar beth kar software banate .
dheere dheere Amit ki company ko project milne lage . apne phele project ke liye unhe 5000 rupey mile . Amit apne sangharsh ke baare mein batate hai ki laptop kharidne ki samta nahi thi , esliye clints ko apne software dikhane ke liye ve public bus mein apna c.p.u saath le jaya karte the . esi doran unhone microsoft ka professional exam pass kiya aur eaarsis naamak software develope kiya aur use patient bhi karvaya .

ISOFT ne kiya sydney ka Rookh



jab Amit ke sapno ko udan mil chuki thi . 2006 mein unhe austrailiya mein ek software fair mein jane ka mouka mila . es avsar ne unhe international expose diya . isse prarit hokar unhone apni company ko sydney le jane ka faisla kar liya .
ISOFT software technology ne kadam dar kadam aage badte hue tarakki ki . aaj usne aise mukam ko chu liya hai jahaan veh 200 se jyada karmchariyon aur duniya bhar mein karib 40 clintse ke saath karobaar kar rahi hai . itna hi nahi 150 crore rupey ke salana turn over ki es company ke office sydney ke alava , Dubai , Delhi aur Patna mein bhi isthit hai .

Samajik Jimmedari



es unchai pe pahuchne ke baad bhi Amit kumar das samaj ke prati apni jimmedari nibhana nahi bhule the . saal 2009 mein pita ki mritu ke baad unhone kuch aisa karne ka socha , jis par kisi bhi pita ko garv hoga . unhone apne state mein ek college kholne ki sochi . Amit ne saal 2010 mein yahan college isthapit kiya aur uska naam apne pita motilal das ke ke naam par - Moti Babu Institute of Technology rakha . higher siksha prapt karke kuch banne ka sapna dekhne wale bihar ke yuvaon ke liye isse accha uphar koi aur nahi ho sakta tha .

neki ki aur kadam



Amit ne apni phechan un chuninda logo mein karvai hai , jo jeevan mein ek safal mukam pane ke baad samaj ko lotane ke liye sakriye rhete hai . saalo phele jis kami ke kaaran Amit ko apna ghar chodhna pada , aaj usi kami ko door karne ke liye ve pryasrat hai .
karodo rupyon ke saath ve apne rajya ko ek shishan sansthan aur ek super specialist hospital ka uphar de chuke hai .
Amit khete hai ki ham sabhi ko samaj ke prati utna hi jimmedar hona chaiye jitna ki apne parivar ke prati hote hai .











Ek ladki ki safalta ki mishal : cashkaro




ambala ki 16 saal ki Swati ko scholarship ke jariye singapoor jakar padne ka muka mila tha . Ek chote se kasbe ke simple parivaar ki es ladki ko pata nahi tha ki yeh uske liye bulandiyo ko choone ka muka tha . Landon mein padai naukri ke duran cashback concept mein swaati ko bisuness idea najar aaya jise unhone india mein cashback website "cashkaro" ke roop mein launch karte hue kamyaabi ki nayi mishal kayam ki .


Apni 16 varsiye honhar beti swati ko tarakki ka mauka dene ke ke liye unke pita ne use singapoor airlines ki scholarship ke liye registration karne ki salha di . es scholarship ke liye aise 22 indian student chune jaate jinhone 12th class mein 85% se jyada number haasil kiye ho . ambala jaise chote city ki swati ka videsh jaakar padai karne ke khyal se ghabrana lazmi tha . lekin pita ki jid ke chalte swati ne scholarship ke liye registration kiya aur exam diya . padai me husiyaar swati ka chayan ho gaya lekin ab parivaar ke liye itni kam umar me apni beti ko padai ke liye videsh bhejne ka faisla lena aasan nahi tha . avsar ki ahemiyat ko samjhte hue phir bhi unhone swati ko singapoor bhejne ka nirniye liya . es scholarship ke jariye swati ne Landon school of echonomics se owner's in mathmetics & economics mein daakhila le liya . Graduation ke dauran swati ne goldman sauks mein sumar intership join ki . isi intership mein company ne unhe job offer de diya . degree puri hone ke baad swati ne company ki investment banking division ki cradit structuring aur sels team ko join kiya . chaar saal baad swati ko executive office mein clint engagement aur relationship ki jimmedari sambhalne ke liye kaha gaya . senior managment ke saath kaam karke swati ki comunication skills ko to dhar mili hi , unhone apne andar ek naya atmvishvash bhi paaya . isi kaam ke dauran unki dilchaspi jaagi ve ek aisa business karna chahati thi jo ek naye idea par aadharit ho .isi vichar ke saath swati ne apna job chhod diya . apne es anubhav ke baare mein swati batate hue kheti hai ki us waqt mandi(kami) ka daur tha aur logo ko naukri se nikala ja raha tha , aise mein mere liye khud naukri chhodne ka faisla lena kaafi muskil tha .

Cashback bana business idea


Naukri chhodne ke baad swati ne dekha ki UK mein cashback ka concept kaafi badh raha tha . swati aur unke husband (pati) Rohan bhi cashback ke liye UK ki website Quidko ka istemaal karte the aur es concept ko kaafi dilchasp mante the . es lokpriyata ko dekhte hue swati ne apne pati Rohan bhargav ke saath cashback ka karobaar suru karne ka faisla kiya . dono hi finance background se the isliye unhone suruat ke kuch mahine 'cashback industry aur e-commerse ko achchi tarha samajhne mein kharch kar diye aur 2011 mein apni pheli UK website poring pounds suru ki . swati aur rohan ne website ki suruaat apni bachat se ki aur karib 75000 Dolar ke funds ka intzam kiya .

Poring pounds se cashkaro



consumers ko bachat ka vikalp dene ke liye samarpit poring pounds ko UK mein kaafi pasand kiya jane laga . kuch hi waqt mein es website se tesko , debenhems , m&s , expidia aur aargose jaise takriban 2500 lokpriye brands jud gaye . website ki safalta se utsahit hokar swati apne karobaar ko vistaar dene ke baare mein sochne lagi . isi dauran unhone dekha ki india mein cashback ke concept ke liye kaafi schop hai . es sambhvna ko dekhte hue swati ne cashback ki avdharna ko india mein lane ka faisla liya . aur swati ne 2013 mein cashkaro.com launch kar di .

kam samay mein bada mukaam



Apni suruat ke phele hi saal mein cashkaro.com ke karobaar mein 1000 percent ki dar se badottri hui hai . yahi nahi yeh website desh ki pramukh 500 e-commerse companyon ke liye lagbhag 150 crore ke retail karobaar ka jariya bani . aaj cashkaro.com daily 3000 se jyada transaction ko anjam deti hai aur apne members ko 5 crore rupey se jyada ka cashback de chuki hai . website ki tarakki se khush swati ko poora yakin hai ki agle 2 saal mein sachkaro 30 milion dollar ke revenue ke saath sabhi tarha ke disscount , offers ,vouchars aadi ke liye desh ki sabse badi website ka mukaam hasil kar legi .

Raah mein mili chunotiyan bhi


cashkaro ki launching se phele swati ke liye yeh sunischit karna jaroori tha ki cashback ka concept sambhavit e-retailer partners achchi tarha se samajh paen kyunki tabhi ise cotumers tak pahunchaya ja sakta hai . es prkiriya mein myntra , jabong , paytm , amazone jaise e-retailar ke saath bhagidaari karne mein karib 6 mahine ka waqt laga . apna anubhav saajha karte hue swati kheti hai ki hame aise process ka istemal karna tha jinse retailors se milne wala comisson samay par aa sake aur costumers ko bhi waqt par cashback kiya ja sake . es dauran hamne jo savdhaniyan barti aur jo sabak sikhe usse hamare costumers aur partner base mein ijafa hone mein madad mili hai . swati ka maanna hai ki chunotiyan bhale hi manjil ko muskil banati hai , lekin unse milne wala anubhav safalta ke naye kirtimaan banane mein madadgaar sabit hota hai .




NEXT PAGE



टिप्पणियाँ