Engineer ki job chodkar banai thi company , aaj 60 crore ka turn over
yeh kahani biotechnology mein BE karne wale yuth , Paras chopda ki hai .
paras ne engineer ki success job chodkar apni company suru ki thi , ve aaj
60 crore rupey se jyada ka turn over ke saath success karobariyon ki list
mein hai . paras ne jo hasil kiya veh bilkul aasan nahi tha .
Khasiyat :
ek aisa startup (Wingify) jo website aur ecommerse stores ko jyada munafa
kamane mien saksam banane ke liye kifayati aur aasan software tools ka nirmaan
karta hai .apne phele hi utpad visual website optimizer ke jariye yeh company
duniyabhar ke seers analitical software providers mein saamil ho chuki hai .
Punjab mein janme Paras chopda padai mein hamesha sabse aage rehene
wale baccho mein se the . computer se paras ka parichye bahut choti umar
mein ho gaya tha . paras ke anusaar uske pita apne kaam ke liye computer
ka istemaal karte the . unhe dekhkar veh bhi iske prati akarsit hua aur
karib 13 saal ki umar mein , jab doosre bacche computer par game khela
karte hai, paras programing karne laga . school pura hote-hote veh programing mein
mahir ho chuka tha . ab usne Delhi college of Engineer mein dakhila liya aur
subject ke roop mein biotechnology ko chuna .
Paras ke es faisle se parents khush nahi the kyunki ve chahate the ki veh
computer pade lekin usne biotechnology mein hi graduation ka faisla liya .
es dauran usne computer mein apni visesyagyata ko chamkaane ka koi mauka
nahi choda . veh iska istemaal apni padai aur models ready karne ke liye
kiya karta tha . es kaam ne paras mein data mining aur analytics ke prati dilchaspi paida kar
di . Paras ke anusar school ke dino mein use 'How to start a startup' par
ek lekh padne ka mauka mila jisne use startup ke liye kaafi prarit kiya tha .
apne isi akarsan ke chalte paras ne college ki padai ke saath-saath teen-char alag -alag startups
mein bhi apna haath aajmaya , lekin ek business model ke aabhav mein
ye business mein tabdeel nahi ho paye .
Job ke dauran talasha idea
2008 mein paras ne gold medal ke saath apni graduation poori ki aur enspiring minds mein bator
R & D mein engineer ki naukri suru ki . lekin startup ki khuvaish ab bhi uske
bhitar thi . job mein karib dedh saal gujar jaane ke baad paras ne apni ruchi
ke khetro ki ek list taiyaar karna suru kiya . lagbhag ek maah tak es par kaam
karne ke baad marketing optimization ki theem samne aai . analytics , technology
aur marketing ke mishran wale es project mein paras ki vishesh ruchi thi .
yahi se wingify ka idea mila aur 23 saal ke es yuva ne apni comapany ki neev rakhi .
Marketing ka nahi tha tajurba
Paras ne ek aisa field chuna tha jiska use bilkul anubhv nahi tha . marketing
ke expiriance ke bina marketing optimization mein utarna kaafi jokhim bhara
faisla tha . apne sangharsh ke daur mein paras ko apne college ke un dino
se prerna mili jab biotechnology ki jyada jankari na hone ke baavjud usne
yeh subject chuna aur na sirf apne dipartment mein top kiya balki kuch paper
bhi publish kiye . isse paras mein es field mein kadam rakhne ka atmvishvash
paida hua aur usne job ke saath hi es par kaam karna suru kiya . paras ka
maqsad google analytics ke liye ek platform taiyaar karne ka tha jiska istemaal
user apni website ko bhetar banane aur uske optimization ke liye kar sake .
karib 8 mahine tak es par kaam karne ke baad paras kai feature wala ek product
taiyaar karne mein kaamyaab ho gaye aur 2010 mein visual website optimizer naam ke
es software ko launch kiya .
Job chodkar startup par diya dhyan
salery ke kuch hisse se suru hui paras ki company wingify chand mahino
mein hi accha business karne lagi . ise dekhte hue paras ne job chodkar apne
poora dhyan isi par focus karne ka faisla kiya . paras ke es faisle ka asar unki
company ki tarakki par bhi hua aur january, 2011 tak company ka turn over 18,83,548 rupey
(30,000 doller) pahunch gaya, jo aaj karib 62,78,49,500 rupey (10 milion doller) ke aakde ko paar
kar chuka hai . vartmaan mein 40 se jyada karamchari ke saath wingify cleartrip ,
microsoft , journal electric , groupon , airbnb , volt disney aur hotels.com
jaise dunia bhar ke karib 7,500 coustmer ko apni sevaye pradan kar dunia
bhar ke seers ke analytical software providers ko takkar de rahi hai .
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें