Welcome success stores -
Apni kathin mehenat se software ke master bane
Ek ladki ki safalta ki mishal : Cashkaro
Multi milion company banane ki kahani
Microsoft chodh khadi ki multi-bilion company
Apni kathin mehenat se software ke master bane
Dosto kahete hai ham apni kathin mehenat se dunia ko apne kadmo mein
jhuka sakte hai ye sabit karke dikhaya hai Amit kumar das ne .
Amit kumar das ka janam bihar ke arariya jile ke farbisganj kasbe mein rahene
wale ek kisaan parivar mein hua .unke parivaar mein keti ki parampara suru se
hi chali aa rahi thi lekin amit es parampara ko aage nahi badana chate the .
ve ek engineer banne ka sapna dekhte the , lekin parivaar ki aarthik halat esi
nahi thi ki vo engineering ka kharch utha sake .amit ne sarkari school mein
padai poori ki aur uske baad patna ke A . N college se science stream se 12th
class ki padai puri ki .
Sangharshon bhara bachpan
12th tak aate-aate amit ke samne kaafi aarthik muskile thi. ese mein unke dimag mein machli palan se lekar fasal ka utpadan dugna karne ke liye tractor kharidne jaise khyal aane lage . lekin iske liye kam se kam 25000 rupey ki jaroorat thi , to unhe apna sapna dhundlata huaa sa najar aane laga .esthitiya unki samajh se pare thi , par aage bhadne ka sapna dil mein pakka ho chuka tha .parivaar ki maali halat sudharne ka jab koi vikalp samne nahi aaya , to amit ne khud ko us isthiti se door kiya . sirf 250 rupey lekar ve delhi chale gaye . Delhi pahuch kar amit ko jaldi ehasash ho gaya ki vo engineering ki degree ka kharch nahi utah paenge . ese mein veh part time tution lene lage . saath hi unhone delhi university se B.A ki padai suru ki .
English bani raaste ka kaanta
Padai ke doran amit ko mehesoosh hua ki unhe computer shikna chaiye . esi
maksad ke saath ve delhi ke ek private computer training center pahunche .
center ki recepsnist ne jab Amit se english mein sawal kiye , to veh javab
mein kuch nahi bol paye , kyunki english mein bhi vo kamjor the . resepcenist
ne unhe pravesh dene se mana kar diya . udaash man se lot rahe amit ke chere
par niraasha dekh kar bus mein baithe ek yatri ne unki udashi ka kaaran pucha .
wajha ka khulasha hua to usne Amit ko english speaking course karne ka sujhav diya .
Amit ko yeh sujhav accha laga aur bina der kiye teen mahine ka course join kar liya .
course pura hone ke baad Amit mein ek naya atmvishvash jaag gaya tha . usi
atmvishvash ke saath Amit phir se computer training institute pahunche aur
pravesh pane mein safal hue . ab Amit ko nayi disha mil gayi thi . 6 mahine ke
computer course mein unhone top kiya . Amit ki es uplabdhi ko dekhte hue institute ne unhe teen saal
ka programe offer kiya . programe pura hone par institute ne unhe faculty ke
tor par niyukt kar liya . wahan pheli salary ke roop mein unhe 500 rupey mile .
Bachat se suru kiya Isot
kuch saal kaam karne ke paschat Amit ko institute se ek project ke liye england
jaane ka offer mila , lekin Amit ne jaane se inkaar kar diya . vajha thi man mein
apna karobaar karne ki ikhcha . us samay Amit ki uamr 21 saal ki thi . Amit ne job chodhne ka faisla liya .
kuch rupyon ki bachat se delhi mein ek choti si jaghe kiraye par li aur apni
software company ISOFT suru ki . 2001 mein suruat se Amit kaafi utsahit the ,
lekin mushkile khatm nahi hui thi . kuch mahine tak unhe ek bhi project nahi mila
tha . gujare ke liye ve jamia miliya islamia university mein raat mein 8 baje tak
padte aur phir raat bhar beth kar software banate .
dheere dheere Amit ki company ko project milne lage . apne phele project ke
liye unhe 5000 rupey mile . Amit apne sangharsh ke baare mein batate hai ki laptop
kharidne ki samta nahi thi , esliye clints ko apne software dikhane ke liye ve
public bus mein apna c.p.u saath le jaya karte the . esi doran unhone microsoft
ka professional exam pass kiya aur eaarsis naamak software develope kiya aur
use patient bhi karvaya .
ISOFT ne kiya sydney ka Rookh
jab Amit ke sapno ko udan mil chuki thi . 2006 mein unhe austrailiya mein ek
software fair mein jane ka mouka mila . es avsar ne unhe international expose
diya . isse prarit hokar unhone apni company ko sydney le jane ka faisla kar liya .
ISOFT software technology ne kadam dar kadam aage badte hue tarakki ki .
aaj usne aise mukam ko chu liya hai jahaan veh 200 se jyada karmchariyon
aur duniya bhar mein karib 40 clintse ke saath karobaar kar rahi hai . itna hi nahi
150 crore rupey ke salana turn over ki es company ke office sydney ke alava
, Dubai , Delhi aur Patna mein bhi isthit hai .
Samajik Jimmedari
es unchai pe pahuchne ke baad bhi Amit kumar das samaj ke prati apni jimmedari
nibhana nahi bhule the . saal 2009 mein pita ki mritu ke baad unhone kuch aisa
karne ka socha , jis par kisi bhi pita ko garv hoga . unhone apne state mein ek
college kholne ki sochi . Amit ne saal 2010 mein yahan college isthapit kiya
aur uska naam apne pita motilal das ke ke naam par - Moti Babu Institute of Technology
rakha . higher siksha prapt karke kuch banne ka sapna dekhne wale bihar ke
yuvaon ke liye isse accha uphar koi aur nahi ho sakta tha .
neki ki aur kadam
Amit ne apni phechan un chuninda logo mein karvai hai , jo jeevan mein ek safal
mukam pane ke baad samaj ko lotane ke liye sakriye rhete hai . saalo phele jis
kami ke kaaran Amit ko apna ghar chodhna pada , aaj usi kami ko door karne
ke liye ve pryasrat hai .
karodo rupyon ke saath ve apne rajya ko ek shishan sansthan aur ek super
specialist hospital ka uphar de chuke hai .
Amit khete hai ki ham sabhi ko samaj ke prati utna hi jimmedar hona chaiye
jitna ki apne parivar ke prati hote hai .
Ek ladki ki safalta ki mishal : cashkaro
ambala ki 16 saal ki Swati ko scholarship ke jariye singapoor jakar padne ka
muka mila tha . Ek chote se kasbe ke simple parivaar ki es ladki ko pata nahi
tha ki yeh uske liye bulandiyo ko choone ka muka tha . Landon mein padai
naukri ke duran cashback concept mein swaati ko bisuness idea najar aaya
jise unhone india mein cashback website "cashkaro" ke roop mein launch
karte hue kamyaabi ki nayi mishal kayam ki .
Apni 16 varsiye honhar beti swati ko tarakki ka mauka dene ke ke liye unke
pita ne use singapoor airlines ki scholarship ke liye registration karne ki salha
di . es scholarship ke liye aise 22 indian student chune jaate jinhone 12th class
mein 85% se jyada number haasil kiye ho . ambala jaise chote city ki swati
ka videsh jaakar padai karne ke khyal se ghabrana lazmi tha . lekin pita ki jid ke
chalte swati ne scholarship ke liye registration kiya aur exam diya . padai me
husiyaar swati ka chayan ho gaya lekin ab parivaar ke liye itni kam umar me
apni beti ko padai ke liye videsh bhejne ka faisla lena aasan nahi tha . avsar ki
ahemiyat ko samjhte hue phir bhi unhone swati ko singapoor bhejne ka nirniye
liya . es scholarship ke jariye swati ne Landon school of echonomics se owner's
in mathmetics & economics mein daakhila le liya . Graduation ke dauran swati
ne goldman sauks mein sumar intership join ki . isi intership mein company
ne unhe job offer de diya . degree puri hone ke baad swati ne company ki
investment banking division ki cradit structuring aur sels team ko join kiya .
chaar saal baad swati ko executive office mein clint engagement aur relationship
ki jimmedari sambhalne ke liye kaha gaya . senior managment ke saath kaam
karke swati ki comunication skills ko to dhar mili hi , unhone apne andar ek
naya atmvishvash bhi paaya . isi kaam ke dauran unki dilchaspi jaagi ve ek aisa
business karna chahati thi jo ek naye idea par aadharit ho .isi vichar ke saath
swati ne apna job chhod diya . apne es anubhav ke baare mein swati batate
hue kheti hai ki us waqt mandi(kami) ka daur tha aur logo ko naukri se nikala
ja raha tha , aise mein mere liye khud naukri chhodne ka faisla lena kaafi muskil
tha .
Cashback bana business idea
Naukri chhodne ke baad swati ne dekha ki UK mein cashback ka concept
kaafi badh raha tha . swati aur unke husband (pati) Rohan bhi cashback ke liye
UK ki website Quidko ka istemaal karte the aur es concept ko kaafi dilchasp
mante the . es lokpriyata ko dekhte hue swati ne apne pati Rohan bhargav ke
saath cashback ka karobaar suru karne ka faisla kiya . dono hi finance background
se the isliye unhone suruat ke kuch mahine 'cashback industry aur e-commerse
ko achchi tarha samajhne mein kharch kar diye aur 2011 mein apni pheli UK
website poring pounds suru ki . swati aur rohan ne website ki suruaat apni bachat
se ki aur karib 75000 Dolar ke funds ka intzam kiya .
Poring pounds se cashkaro
consumers ko bachat ka vikalp dene ke liye samarpit poring pounds ko UK mein
kaafi pasand kiya jane laga . kuch hi waqt mein es website se tesko , debenhems , m&s , expidia aur aargose
jaise takriban 2500 lokpriye brands jud gaye . website ki safalta se utsahit hokar
swati apne karobaar ko vistaar dene ke baare mein sochne lagi . isi dauran
unhone dekha ki india mein cashback ke concept ke liye kaafi schop hai . es
sambhvna ko dekhte hue swati ne cashback ki avdharna ko india mein lane
ka faisla liya . aur swati ne 2013 mein cashkaro.com launch kar di .
kam samay mein bada mukaam
Apni suruat ke phele hi saal mein cashkaro.com ke karobaar mein 1000 percent
ki dar se badottri hui hai . yahi nahi yeh website desh ki pramukh 500 e-commerse companyon
ke liye lagbhag 150 crore ke retail karobaar ka jariya bani . aaj cashkaro.com
daily 3000 se jyada transaction ko anjam deti hai aur apne members ko
5 crore rupey se jyada ka cashback de chuki hai . website ki tarakki se khush
swati ko poora yakin hai ki agle 2 saal mein sachkaro 30 milion dollar ke revenue
ke saath sabhi tarha ke disscount , offers ,vouchars aadi ke liye desh ki sabse
badi website ka mukaam hasil kar legi .
Raah mein mili chunotiyan bhi
cashkaro ki launching se phele swati ke liye yeh sunischit karna jaroori tha ki cashback ka concept sambhavit e-retailer partners achchi tarha se samajh paen kyunki tabhi ise cotumers tak pahunchaya ja sakta hai . es prkiriya mein myntra , jabong , paytm , amazone jaise e-retailar ke saath bhagidaari karne mein karib 6 mahine ka waqt laga . apna anubhav saajha karte hue swati kheti hai ki hame aise process ka istemal karna tha jinse retailors se milne wala comisson samay par aa sake aur costumers ko bhi waqt par cashback kiya ja sake . es dauran hamne jo savdhaniyan barti aur jo sabak sikhe usse hamare costumers aur partner base mein ijafa hone mein madad mili hai . swati ka maanna hai ki chunotiyan bhale hi manjil ko muskil banati hai , lekin unse milne wala anubhav safalta ke naye kirtimaan banane mein madadgaar sabit hota hai .
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें